pech fiqre par kiya jata nahin koi dhaga do bata jata nahin bosa-e-lab ghair ko dete ho tum munh mera mitha kiya jata nahin zoaf ne yak-dast tode pa-e-zist nabz-e-murda hun hila jata nahin zulf se sumbul kare kya ham-sari pech choti ka kiya jata nahin tegh-e-husn-e-yar se majruh hai tota-e-khat se uda jata nahin qabr ka talib abas hai jism-e-zar chashm-e-dushman mein sama jata nahin kya kashida surat-e-taswir hun na-tawani se khincha jata nahin zoaf se pahunchenge kyun-kar aap tak aap se bahar hua jata nahin khinch sake taswir betabi mein kya ek surat par raha jata nahin ruh ko bhi bosa-e-lab ki hai chat mar gae lekin mara jata nahin murde se bad-tar hun go jita hun main rang-e-hasti mein mila jata nahin rang kya qadd-khamida ka khile chhalle ke gul se khila jata nahin roz angiya hoti hai aarasta kab naya bangla saja jata nahin pech mein aane ko taqat chahiye tere dam par bhi chadha jata nahin itr khinchta hai hamari khak ka hath malne ka maza jata nahin chutkiyan mere sarape mein na lo jama-e-hasti chuna jata nahin koi kya hum ko banega 'munir' aise bigde hain bana jata nahin