pech rakhte ho bahut sahibo dastar ke bich hum ne sar girte hue dekhe hain bazar ke bich baghbanon ko ajab ranj se takte hain gulab gul-farosh aaj bahut jama hain gulzar ke bich qatil is shahr ka jab bant raha tha mansab ek darwesh bhi dekha usi darbar ke bich kaj-adaon ki inayat hai ki hum se ushshaq kabhi diwar ke pichhe kabhi diwar ke bich tum ho na-khush to yahan kaun hai khush phir bhi 'faraaz' log rahte hain isi shahr-e-dil-azar ke bich