sahra-e-khayal ka diya hun virana-e-shab mein jal raha hun saghar ki tarah se chur ho kar mahfil mein bikhar bikhar gaya hun apne hi lahu ki raushni mein nairang-e-jahan ko dekhta hun wo chand hun gardishon mein aa kar khud apni nazar se kat gaya hun har ahd hai mere dam se rangin main naghma-e-saz-e-irtiqa hun aaina-sifat nazar se teri aks-e-dar-o-baam ban gaya hun ehsas ki talkhiyon mein dhal kar main dard ka chand ban gaya hun sun lo mujhe mai-kada-parasto! bhigi hui raat ki sada hun gulzar mein rah ke bhi 'raza' main khushbu ke liye taras gaya hun