phaila hua hai bagh mein har samt nur-e-subh bulbul ke chahchahon se hai zahir surur-e-subh baithe ho tum jo chehre se ulte naqab ko phaila hua hai chaar taraf shab ko nur-e-subh bad-qismaton ko gar ho mayassar shab-e-visal suraj ghurub hote hi zahir ho nur-e-subh pau phatte hi riyaz-e-jahan khuld ban gaya ghilman-e-mahr sath liye aai hur-e-subh murgh-e-sahar adu na moazzin ki kuchh khata 'parwin' shab-e-visal mein sab hai futur-e-subh