ye sach hai koi rahnuma thik nain mere bhai tu bhi chala thik nain adibon ko sach bolna chahiye siyasat ki aab-o-hawa thik nain nigahon se mela na ho jae wo use der tak dekhna thik nain hamein to wahi samt marghub hai bala se udhar rasta thik nain chalo dhup se aashnai karen ye diwar ka aasra thik nain nami aankh mein hath mein tharthari tere mangne ki ada thik nain zamana mukhalif tha qismat kharab 'muzaffar' yahan kuchh bhi tha thik nain