phaile hue hain shahr mein sae nidhaal se jaen kahan nikal ke khayalon ke jal se mashriq se mera rasta maghrib ki samt tha us ka safar junub ki jaanib shumal se kaisa bhi talkh zikr ho kaisi bhi tursh baat un ki samajh mein aaegi gul ki misal se chup-chap baithe rahte hain kuchh bolte nahin bachche bigad gae hain bahut dekh-bhaal se rangon ko bahte dekhiye kamre ke farsh par kirnon ke war rokiye shishe ki dhaal se aankhon mein aansuon ka kahin nam tak nahin ab jute saf kijiye un ke rumal se chehra bujha bujha sa pareshan zulf zulf allah dushmanon ko bachae wabaal se phir paniyon mein nuqrai sae utar gae phir raat jagmaga uthi chandi ke thaal se