pher kar tegh-e-nazar tegh-e-jafa se pahle mar dala mujhe zalim ne qaza se pahle ab mera khun-e-jigar hathon mein malte hain wo us se nafrat thi jinhen rang-e-hina se pahle zulf mein chhune na paya ki bandhe mere hath di sitamgar ne saza mujh ko khata se pahle shauq-e-didar ki tezi se main aksar har subh kucha-e-yar mein jata hun saba se pahle aisi tasir pe sau jaan se sadme qurban mere ghar aa gae wo meri dua se pahle pas 'sabir' ka buto aaj na karna padta dur rahte agar is mard-e-khuda se pahle