wo gum hue hain musafir rah-e-tamanna mein ki gard bhi nahin ab aarzu ke sahra mein hai kaun jalwa-sara baam-e-afrinash par utar gae hain sitare se chashm-e-bina mein mili thi jis ko numu dard ki salibon se wo lams bhi nahin baqi mere masiha mein kashid jin se hui thi nae zamanon ki wo mai-kade bhi hue gharq mauj-e-sahba mein utha liya tha jinhen gham ne shahr-e-matam se wo harf likkhe gae hain khat-e-shakeba mein diya shuur ujalon ka subh-e-mariyam ko charagh kis ne jalaya shab-e-kalisa mein utha hai ab ke wo tufan jawar-e-sahil se ki mauj bhi nahin mahfuz qar-e-dariya mein jo le gain mere yusuf ko bab-e-zindan tak wo chahaten bhi nahin daman-e-zulekha mein wo zakhm jin se mila dard aashnai ka nahin hain wo bhi 'samad' ab mere sarapa mein