phir aap ne dekha hai mohabbat ki nazar se guzre na kahin gardish-e-dauran bhi idhar se puchhen to zara pech-o-kham-e-rah ki baaten kuchh log abhi laut ke aae hain safar se shayad kahin suraj ki kiran sham ko phute hum shama jalae hue baithe hain sahar se logo meri aashufta-sari par na karo tanz ilzam utaro koi us zulf ke sar se dekha na unhen dida-e-hairat ne dobara jalwon ko shikayat hai meri tab-e-nazar se khushbu-e-gul-o-lala chhupa lete hain patte ab qadr-e-hunar hai to faqat arz-e-hunar se tare to chamak apni dikhate hain sahar tak dil dubne lagta hai magar pichhle pahar se ghairon ki nigahen tere jalwon se hain sairab ai kash ye baadal meri aankhon pe bhi barse zulmat hi ke sae mein sukun dhundiye 'mazhar' khairaat bahut mang chuke nur-e-sahar se