unchi unchi shahnai hai pagal ko nind aai hai ek barahna ped ke niche main hun ya purwai hai meri hansi jangal mein kisi ne der talak dohrai hai raushniyon ke jal se bahar koi kiran lahrai hai khamoshi ki jhil pe shyama kankar le kar aai hai dhyan ki nadiya bahte bahte ek dafa tharrai hai khet pe kis ne sabz lahu ki chadar si phailai hai mere upar jala bunne phir koi badli chhai hai ek anguthi ke patthar mein aankhon ki gahrai hai diwaron par dagh lahu ke pathrili angnai hai main ne apne tanha ghar ko aadhi baat batai hai main to us ka sannata hun wo meri tanhai hai subh hui to dil mein jaise thaki thaki angdai hai thandi chae ki pyali pi ke raat ki pyas bujhai hai apne baadal ki kutiya ko main ne aag lagai hai