soz se saz hi nahin haal hai kuchh ajab tera main to niyaz-mand hun naz hai be-sabab tera ishwa kaamyab hai jo bhi hai be-hisab hai rahm tera karam tera qahr tera ghazab tera main to hun naqsh-e-zer-e-gam jaanta hun tera maqam mujh pe ye kya hai ittiham main na karun adab tera jaane kis tarah jaegi jaan ye kab tere liye aane ki tarah aaega mujh ko khayal kab tera dast-e-dua na pas hai bakht-e-rasa na sath hai kyun ho 'munawar'-e-hazin banda-e-mutakhab tera