phir apne-ap se us ko hijab aata hai thirakti jhil pe jab mahtab aata hai dikhaiye na hamein aap mausami aansu ki ye hunar to hamein be-hisab aata hai wo jis tariq se us ne sawal dagha hai usi tarah ka mujhe bhi jawab aata hai to barishon se shikayat si hone lagti hai gulab sa jo koi zer-e-ab aata hai main apni aankh mein shabnam utar leta hun wo apni aankh mein jab le ke khwab aata hai abhi to nam bhi apna nahin mila mujh ko abhi to nam se pahle janab aata hai