samajhne wala mera martaba samajhta hai so farq padta nahin kaun kya samajhta hai ye teri chaaragari meri jaan le legi na tu mujhe na mera masala samajhta hai main apni maut ko ab zindagi samajhta hun main kyun samajhta hun mera khuda samajhta hai main ab kahani se bahar nikalna chahta hun kahani-kar mera muddaa samajhta hai wo is liye bhi palat kar kabhi na aaega wo mera haal mera faisla samajhta hai main kah raha hun mujhe thoda soch kar samjho ki ye lage mujhe koi khala samajhta hai zamana kuchh bhi samajhta nahin hai sach hai ye isi liye to tujhe bhi mera samajhta hai