phir chahe jitni qamat le kar aa jaana pahle apni zat se tum bahar aa jaana tanha tai kar lunga sare mushkil raste shart ye hai ki tum darwaze par aa jaana main diwar pe rakh aaunga dip jala kar saya ban kar tum darwaze par aa jaana tum ne hum ko thukraya ye zarf tumhaara jab tum ko thukra den log idhar aa jaana baaton ka bhi zakhm bahut gahra hota hai qatl bhi karna ho to be-khanjar aa jaana tum kyun apni satah pe hum ko lana chaho mushkil hai gahrai ka upar aa jaana jab thak jae zehn khudai karte karte bandon se milne banda-parwar aa jaana hum ne ye tahzib parindon se sikhi hai subh ko ghar se jaana sham ko ghar aa jaana rasta rasta ek ajaib-gah 'muzaffar' hansti aankhon se jaana shashdar aa jaana