yaadon ki qindil jalana achchha lagta hai dard ki lau ko aur badhana achchha lagta hai taza hawa thi mahki faza thi kya the achchhe din pal pal ab to pichhla zamana achchha lagta hai tujh se bichhad kar pyare watan teri hi chahat mein gham se lipat kar aansu bahana achchha lagta hai mayusi ki rah mein jab tak khwab sunahra ho shauq-e-safar mein khwab sajaana achchha lagta hai yun hi khafa ho jaana us ki aadat hai 'salim' pyar se lekin us ko manana achchha lagta hai