pur-kaif bahaaron ne bhi dil tod diya hai han un ke nazaron ne bhi dil tod diya hai tufan ka shewa to hai kashti ko dubona khamosh kinaron ne bhi dil tod diya hai is dubte suraj se to ummid hi kya thi hans hans ke sitaron ne bhi dil tod diya hai kis tarah karen tujh se gila tere sitam ka madhosh ishaaron ne bhi dil tod diya hai mana ki thi ghamgin kali khauf-e-khizan se chup rah ke bahaaron ne bhi dil tod diya hai aghyar ka shikwa nahin is ahd-e-hawas mein ek umr ke yaron ne bhi dil tod diya hai ye daur-e-mohabbat bhi ajab daur hai is mein ai 'naqsh' sahaaron ne bhi dil tod diya hai