phulon se mohabbat hai sab ko kanTon se kisi ko pyar nahin

phulon se mohabbat hai sab ko kanton se kisi ko pyar nahin
khushiyon mein zamana sathi hai gham hon to koi gham-khwar nahin

fani hai yahan ki har ek shai phir teri meri hasti kya
duniya pe bharosa kya karna duniya ka koi mear nahin

har jor sitam manzur unhen har zulm gawara hai un ko
phir bhi to tere diwanon ki qismat mein tera didar nahin

ek gham jo diya hai tu ne mujhe wo umr ka hasil hai meri
ab is ke alawa kuchh mujh ko matlub nahin darkar nahin

kahne ko hamari ghazlon mein har lafz lahu ka qatra hai
alfaz magar alfaz nahin ashaar magar ashaar nahin

hain un se tasawwur mein baaten yaadon mein munawwar hain raaten
main kaise samajh lun sine mein khwabida hai bedar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close