taron bhari palkon ki barsai hui ghazlen hai kaun piroe jo bikhrai hui ghazlen wo lab hain ki do misre aur donon barabar ke zulfen ki dil-e-shair par chhai hui ghazlen ye phul hain ya sheron ne suraten pai hain shakhen hain ki shabnam mein nahlai hui ghazlen khud apni hi aahat par chaunke hun hiran jaise yun rah mein milti hain ghabrai hui ghazlen in lafzon ki chadar ko sarkao to dekhoge ehsas ke ghunghat mein sharmai hui ghazlen us jaan-e-taghazzul ne jab bhi kaha kuchh kahiye main bhul gaya aksar yaad aai hui ghazlen