phir is se qabl ki bar-e-digar banaya jae ye aaina hai ise dekh kar banaya jae main sochta hun tere la-makan ke us jaanib makan kaisa banega agar banaya jae zara zara se kai naqs hain abhi mujh mein nae sire se mujhe gundh kar banaya jae zamin itni nahin hai ki panw rakh paen dil-e-kharab ki zid hai ki ghar banaya jae bahut se lafz pade hashiyon mein sochte hain kisi tarah se ibarat mein dar banaya jae wo ja raha hai to jate hue ko rokna kya zara si baat ko kyun dard-e-sar banaya jae kahin rukenge to tariq-'naim' dekhenge safar mein kya koi zad-e-safar banaya jae