tamam-tar usi khana-kharab jaisa hai mere lahu ka nasha bhi sharab jaisa hai naha raha hun main us ke badan ki kirnon mein wo aadmi hai magar mahtab jaisa hai karun talash jawahar to ret hath aae samundaron ka chalan bhi sarab jaisa hai jala gaya mujhe apne badan ki thandak se wo jis ka rang dahakte gulab jaisa hai 'qatil' kaam-o-dahan apna sath den ki na den wafa ka zaiqa lekin shabab jaisa hai