qalam kabad mein de di kitab raddi mein farokht kar diye aankhon ne khwab raddi mein ajab nahin jo mera harf bhi hai be-tauqir sukhan pade hain yahan be-hisab raddi mein kuchh is tarah diya tartib aaqibat ka ghar gunah shelf pe rakkhe sawab raddi mein mahak rahe hain ajab taur faltu kaghaz kisi ne phenke hon jaise gulab raddi mein main ab ki bar jo akhbar phenkne ko gaya ajab dikhai diya iztirab raddi mein hayat-o-maut ke radd-o-qubul mein hai jo pir guzara kude pe bachpan shabab raddi mein tamam shahr mein 'tariq' badi talash ke baad main khud ko ho hi gaya dastiyab raddi mein