raqs yak nur kabhi sail-e-bala dekhta hun zehn par chhai hui dhund mein kya dekhta hun tujh ko mahdud khad-o-khal mein kar rakkha hai main kahan tujh ko abhi tere siwa dekhta hun narm mitti se uthe hain wo kunware jazbaat jin ko pahne hue phulon ki qaba dekhta hun aankh hail hai teri did mein achchha hoga aaj ye aakhiri parda bhi utha dekhta hun kyun na us parda-nashin ko ho takallum mein hijab main to aawaz ko bhi chehra-numa dekhta hun main wo kafir hun ki is zulmat-e-dil ke hathon har chamakte hue chehre mein khuda dekhta hun phir koi kunj-e-aman dasht-e-sukhan mein 'sahba' aaj phir dil ko pareshan-e-nawa dekhta hun