ye jalwa-e-gah-e-khas hai kuchh aam nahin hai kamzor nigahon ka yahan kaam nahin hai jis mein na chamakte hon mohabbat ke sitare wo sham agar hai to meri sham nahin hai kya jaane mohabbat ki hai ye kaun si manzil wo sath hain phir bhi mujhe aaram nahin hai tum samne khud aae nawazish ye tumhaari ab meri nazar par koi ilzam nahin hai afsos wo kab meri nazar dekh rahe hain jab meri nazar mein koi paigham nahin hai shayad ki 'nazir' uth chuka ab dil ka janaza ab sans ke pardon mein wo kohram nahin hai