phir siyah-posh hui sham nazar mein rakhna tum ye bedardi-e-ayyam nazar mein rakhna main ne baatil se kabhi sulh nahin ki logo meri haq-goi ka inam nazar mein rakhna khub hai dard-o-gham-e-dil ka mudawa lekin khud ko bhi ai dil-e-nakaam nazar mein rakhna thokaren kha ke sambhalte hain sambhalne wale ye jo patthar hain ba-har gam nazar mein rakhna imtihan-gah-e-mohabbat se guzarne walo roz-e-ashura ka hangam nazar mein rakhna kaba-e-fan ki kashish khinch rahi hai dil ko fikr kab bandhegi ehram nazar mein rakhna intisab-e-gham-e-hasti ke liye ab ai 'naz' khub-surat sa koi nam nazar mein rakhna