phir tere aastan pe le aai khinch kar lazzat-e-jabin-sai pesh-o-pas ko bahae jata hai tera sailab-e-rang-o-ranai koi bekas duaen deta hai wo teri pursish-o-pazirai phir se betab hai dil-e-shaida kisi bhule hue ki yaad aai ek parda hai khud-farebi ka ye mera zauq-e-naghma-pairai matla-e-subh-e-nau-bahaar bane us mujassam haya ki paidai nazar ehsas-e-husn se makhmur lal-e-khush-ab mein masihai didani hai ada-e-mahbubi sare andaz hain zulekhai aafat-e-aql-o-hosh hai 'khalid' us pari-ru ka husn-e-sahrai