taqaza-e-dil-o-jaan ka kahin darman nahin milta dayar-e-dard mein taskin ka saman nahin milta khiraminda hain maikhane agarche teri aankhon mein yahan se bhi mudawa-e-gham-e-pinhan nahin milta teri chashm-e-tamasha-mast mein ghaltan hain afsane magar tamhid-e-ulfat ka koi unwan nahin milta kisi shai ki kami hai tere jalwon ki nawazish mein ki ab wo walehana-pan wo zauq-e-jaan nahin milta tere andaz ki ghaarat-gari bhi kya qayamat hai ki naqd-e-zindagi-o-gauhar-e-iman nahin milta kamal-e-iffat-e-qalb-o-nazar mafqud hai 'khalid' ye rutba mil to jata hai magar aasan nahin milta