sar ko hua hai phir wahi sauda-e-zindagi goya hai teri yaad masiha-e-zindagi kyon dam-ba-dam fuzun hai tamanna-e-zindagi shayad ki gham hua hai shanasa-e-zindagi karta phir un se kaun taqaza-e-zindagi bas ek nazar mein ho gaya sauda-e-zindagi ab kis liye ho mujh ko tamana-e-zindagi jab tu nahin to hech hai duniya-e-zindagi wo gardish-e-mudam se ghabra na jae kyon jis ki umid-o-bim mein kat jae zindagi shah pa ke chashm-e-mast ki pina padi mujhe har-chand tund-o-talkh thi sahba-e-zindagi wo to uda ke le gai mujh ko hawa-e-shauq na-qabil-e-ubur tha sahra-e-zindagi parwana kar ke himmat-e-mardana jal-bujhe phir kyon na aisi maut se sharmae zindagi be-as kar ke chhod gai aarzu to phir rahat-faza-e-gham hui iza-e-zindagi dil mein wufur-e-shauq ka tufan liye hue pi kar chala hun bazm se sahba-e-zindagi ab be-kasan-e-shauq ki majburiyan na puchh thi munhasir umid pe ihya-e-zindagi ai jabr-e-husn dekh mere bas mein kya nahin duniya ke gham hain aaj muhayya-e-zindagi har shauq paemal hai har aarzu tabah ab kije kis umid pe dawa-e-zindagi 'sahir' na jis ko jaur-e-zamana mita saka wo sharmsar-e-marg hun ruswa-e-zindagi