phir us se tarah kuchh jo dawe ki si dali hai kya taza koi gul ne ab shakh nikali hai sach puchho to kab haiga us ka sa dahan ghuncha taskin ke liye hum ne ek baat bana li hai dehi ko na kuchh puchho ek bharat ka hai gadwa tarkib se kya kahiye sanche mein ki dhaali hai hum qadd-khamida se aaghosh hue sare par faeda tujh se to aaghosh wo khali hai izzat ki koi surat dikhlai nahin deti chup rahiye to chashmak hai kuchh kahiye to gali hai do-gam ke chalne mein pamal hua aalam kuchh sari khudai se wo chaal nirali hai haigi to do sala par hai dukhtar-e-raz aafat kya pir-e-mughan ne bhi ek chhokri pali hai khun-rezi mein hum son ki jo khak barabar hain kab sar to faro laya himmat teri aali hai jab sar chadhe hon aise tab ishq karen so bhi jun tun ye bala sar se farhad ne tali hai in mughbachon mein zahid phir sar zada mat aana mindil teri ab ke hum ne to bacha li hai kya 'mir' tu rota hai pamali-e-dil hi ko un loundon ne to dilli sab sar pe utha li hai