ye jo apne hath mein daman sambhaale jate hain pichhe pichhe in ke, in par marne wale jate hain lutf o ranjish ka tamasha hai ki din mein lakh bar gah bulae jate hain hum gah nikale jate hain jaan se jate rahe hain bas-ki lakhon be-gunah har taraf kuche mein us ke khun ke nale jate hain sai tu apni na kar ai girya sarf-e-shist-o-shu dil ke dhone se koi ye dagh kale jate hain gar nahin hai wada gah wo ko to kyun raaton ko log us ke kuche mein andhere aur ujale jate hain us ke kanon tak rasai kyun nahin hairan hun arsh-e-azam tak to mere shab ke nale jate hain ho gaya hun main to un ka 'mushafi' halqa-ba-gosh yaad se meri kab un kanon ke baale jate hain