ye dil wo shisha hai jhamke hai wo pari jis mein bhara hai mu-e-ba-mu sehr-e-samri jis mein ye lal-e-lakht-e-jigar hai wo lal-e-besh-baha ki kaam karti nahin chashm-e-jauhari jis mein diya hai main ne dil aise ko aur pareshan hun na mehr hai na mohabbat na dilbari jis mein khuda do-chaar na hum se kare kabhi us ko nikalti ho teri aankhon se kafiri jis mein hate hai 'mani' se laila ki wo waraq to dikha likhi hai surat-e-majnun ki laghari jis mein ghazab hai tu ne na dekha wahi mera dil tha bandhi hui thi tere tir ki siri jis mein kisi se kaam miyan-'mushafi' na kuchh rakhiye wo kaam kijiye ho apni behtari jis mein