zyaada kuchh nahin mar jaenge kisi din hum har ek shai se mukar jaenge kisi din hum har ek jagah bhatakte phirenge sari umr bil-akhir apne hi ghar jaenge kisi din hum na dekh roz haqarat se is qadar hum ko koi to kaam bhi kar jaenge kisi din hum tumhaari rah mein har chiz to luta dali ye jism-o-jaan bhi dhar jaenge kisi din hum tamasha lafz o bayan ka bhi kab talak 'mamun' ki jism-o-jaan se utar jaenge kisi din hum