tu dekh use sab ja aankhon ke utha parde manind suwaida ke dil bich use ghar de aalam ke muraqqe mein taswir usi ki hai sab husn yahan yaro us husn ke hain garde sayyaad ka sharminda hun be-par-o-baali se ud kar abhi ja pahunchun jo mujh ko khuda par de saqi tujhe kam-zarfi maston se nahin lazim tarsa na mujhe kafir saghar ke tain bhar de bazm-e-dil-e-mushtaqan jun sham-e-ghariban hai yak jalwa mein tu raushan aa sham-e-sifat kar de hum arz kiya us ki khidmat mein ki ai sahab itne tere bandon mein ek hum bhi hain nau-warde daulat se teri sab kuchh hum pas muhayya hai lab khushk o jigar biryan chashm-e-tar o dil sar de 'hatim' wo laga kahne ghusse se ki chal jhuthe banda main use jaanun jo pahle qadam sar de hushyar karun 'hatim' maston ko nigahon mein qatra mai-e-wahdat se jo saqi-e-kausar de