qasid-e-khush-fal laya us ke aane ki khabar dil to khush karta hai bare ye bahane ki khabar wo but-e-be-raham hum se yun judai kar gaya hae kis kafir ko thi is bad zamane ki khabar bulbulo do din ghanimat hai ye fursat aish ki bagh se hai aaj kal hi gul ke jaane ki khabar ta-abad khali rahe ya-rab dilon mein us ki ja jo koi lawe mere ghar us ke aane ki khabar mere dil ko nisbat-e-farhad-o-majnun aar hai dur ho mujh ko nahin hai is diwane ki khabar kaun kis ki ishq ke zindan mein gham-khwari kare khun-e-dil leta hai mere pine khane ki khabar aa gaya nadan tu us ke fareb-e-lutf mein mujh ko 'hasrat' sab thi us ke dil lubhane ki khabar