phul khilte hi agar panw mein chhaale honge ai junun dasht-nawardi ke bhi lale honge un pe ho jaenge tamir haqiqat ke mahal hum ne jo khwab kabhi zehan mein pale honge bandagi meri tere dar ki jabin-sai hai mere sajde tere qadmon ke hawale honge muskuraata hai har ek zakhm dil-e-bismil ka hans ke qatil ne bhi arman nikale honge ai bahaaran-e-chaman waqt ka ehsas rahe khil gae phul to kanton ke hawale honge inqalab aa hi gaya sehn-e-chaman mein 'jumbish' ab bahaaron ke bhi andaz nirale honge