phul ki tarh mahakte rahiye khar ki tarh khatakte rahiye ho chuka khatm safar pani ka ab khalaon mein bhatakte rahiye jaan jab tak hai badan mein baqi gham ki suli pe latakte rahiye tez aandhi hai to shakhon ki tarah tez aandhi mein lachakte rahiye rang bharna hai agar phulon mein khun phulon pe chhidakte rahiye yaad kar ke use tanhai mein raat-bhar 'barq' sisakte rahiye