rafugaron mein use kaun ab shumar kare

rafugaron mein use kaun ab shumar kare
ragon ki surkh qabaen jo tar tar kare

inhin se fasl-e-namakdan ugai jaegi
nai sadi nae zakhmon ka eatibar kare

khuda pe chhod de kashti ye us ki marzi hai
nadi mein gharq kare ya nadi ke par kare

zaif bap ko kandhe pe le ke chalta hai
mera khuda mere bachche ko shahsawar kare

ye pattharon se bana hai ye dekhte rahna
ye dewta kisi insan par na war kare

abhi main faqa-kashi ke mahaz-e-jang pe hun
meri ghazal se kaho mera intizar kare

main dosti ki usi had mein phir khada hun 'riyaz'
abu-zafar ko jo dilli se be-dayar kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close