phul sunghe jaane kya yaad aa gaya dil ajab andaz se lahra gaya us se puchhe koi chahat ke maze jis ne chaha aur jo chaha gaya ek lamha ban ke aish-e-jawedan meri sari zindagi par chha gaya ghuncha-e-dil hae kaisa ghuncha tha jo khila aur khilte hi murjha gaya ro raha hun mausam-e-gul dekh kar main samajhta tha mujhe sabr aa gaya ye hawa ye barg-e-gul ka ehtizaz aaj main raaz-e-musarrat pa gaya 'akhtar' ab barsat rukhsat ho gai ab hamara raat ka rona gaya