pur-kaif ziyaen hoti hain pur-nur ujale hote hain jab khak-basar dil hota hai aur arsh pe nale hote hain hanste hain dahan-e-zakhm se hum gate hain fughan ke barbat par aashufta-saron ki duniya ke sab dhang nirale hote hain kya qahr barasta hai dil par sawan ki shabon mein kya kahiye kuchh dard ki phuwaren hoti hain kuchh yas ke jhaale hote hain in ujde hue armanon ko kis shauq se dil ne sincha tha barbaad magar hote hain wahi jo nam ke pale hote hain chahat ke sitam bardasht karen mar mar ke jien aur mar na saken kya jaaniye kis mitti ke bane ye chahne wale hote hain dil tang na ho ai rah-raw-e-gham kanton ke liye to kam se kam manind-e-nawed-e-abr-e-karam ye panw ke chhaale hote hain uf-re wo nazakat lahje ki baaten jo nikalti hain munh se ya chand ki kirnen hoti hain ya barf ke gale hote hain ye dard-e-junun ye soz-e-jigar in kaifiyaton ke gird 'akhtar' taskhir ke halqe hon ki na hon taqdis ke haale hote hain