raftar raushni ki musakhkhar na kar sake sae ko apne qad ke barabar na kar sake jismon pe shakhsiyat ki tahen jam ke rah gain khud ko hum apni zat se bahar na kar sake mahaul ki giraft bhi kis darja sakht thi apni salahiyat hum ujagar na kar sake tha iztirab dil ka kuchh aisa moamla hum intizar-e-jalwa-e-mahshar na kar sake suraj ki raushni ko muqayyad to kar liya dil ka siyah-khana munawwar na kar sake jazbaat garche sher ke qalib mein dhal gae lafzon ke unch nich barabar na kar sake hum aane wali nasl se sharminda hain 'asar' insaniyat ka nam ujagar na kar sake