phunki tap-e-firaq ne ye tan badan mein aag ab jism ki jagah hai mere pairahan mein aag angaron pe litati hai furqat mein sair-e-bagh ho mera ikhtiyar to de dun chaman mein aag abr-e-siyah nahin ye dhuan hai bhara hua kis ne laga di aaj sipahr-e-kuhan mein aag kushte hain tere rukh ke ju-e-atishin-ezar le jaenge wo bandh kar apne kafan mein aag rukhsat hui bahaar khizan ke din aa gae ai baghban laga de ab apne chaman mein aag sahra hamari garmi-e-raftar se phunka diwanon ke qadam se lag utthi chaman mein aag kis ne kiya tere lab-e-lalin ka tazkira ahl-e-yaman ne aap laga di yaman mein aag zulfon se yun ayan hai tera ru-e-atishin jaise lagi ho wadi-e-chin-o-khutan mein aag 'akbar' teri zaban hai kya shama ki zaban har fiqra tera shoala hai hai har sukhan mein aag