rang apna na jama un pe asar kuchh na hua khun rone se bhi ai dida-e-tar kuchh na hua roz tal jata hai didar ka wada kal par ab tak is ka asar ai ahl-e-khabar kuchh na hua na samajhta tha ki mar jaunga main hijr ki shab haif zinda hi raha ta-ba-sahar kuchh na hua sulh-e-kul wale hi insan kahe jate hain shar kiya jis ne kisi se wo bashar kuchh na hua war us tegh-e-ada ka kabhi khali na gaya munh pe li hum ne kai bar sipar kuchh na hua wasl ka khatma sad-shukr hua sulh ke sath chain se raat basar ho gai shar kuchh na hua wahi moti hai jo ho sarf tere zewar mein jo na in kanon tak aaya wo guhar kuchh na hua aankh ki band yahan aur wahan ja pahunche manzil-e-mulk-e-adam ka to safar kuchh na hua kya kahen zor na qismat se chala ai 'akbar' koshishen wasl ki lakhon huin par kuchh na hua