pi kar bhi tabiat mein talKHi hai girani hai

pi kar bhi tabiat mein talkhi hai girani hai
is daur ke shishon mein sahba hai ki pani hai

ai husn tujhe itna kyun naz-e-jawani hai
ye gul-badani teri ek raat ki rani hai

is shahr ke qatil ko dekha to nahin lekin
maqtal se jhalakta hai qatil ki jawani hai

jalta tha jo ghar mera kuchh log ye kahte the
kya aag sunahri hai kya aanch suhani hai

is fan ki latafat ko le jaun kahan aakhir
patthar ka zamana hai shishe ki jawani hai

kya tum se kahen kya hai aahang 'shamim' apna
sholon ki kahani hai shabnam ki zabani hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close