sisakte baam-o-dar rota hua ghar chhoD aaya hun

sisakte baam-o-dar rota hua ghar chhod aaya hun
main khud ko ek virane mein ja kar chhod aaya hun

jahan ehsas ki aawaz bhi aati nahin mujh tak
main aisi be-hisi mein khud ko aksar chhod aaya hun

akela main hi kyun ab ye sukut mauj bhi tute
thirakti jhil ki aankhon mein kankar chhod aaya hun

bahut ujlat mein apne zakhm main ne si liye lekin
kahin main jism ke andar hi nashtar chhod aaya hun

jo ek taswir thi dil mein wo mujh se ban na pai to
main ek kaghaz pe sare rang bhar kar chhod aaya hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close