tabah khud ko use la-zawal karte hain hamare log junun mein kamal karte hain magar ye raaz faqat titliyan samajhti hain chamakte rang bhi jina muhaal karte hain kabhi kabhi to darindon pe pyar aata hai tamam shahr ki yun dekh-bhaal karte hain ye kya ki dil bhi dukhane koi nahin aata chalo purane marasim bahaal karte hain bulao khwab-nagar mein phir us sitare ko wahi karo jo sabhi khush-khayal karte hain kisi mazaq pe khul kar main hans nahin pata hansi hansi mein wo jina muhaal karte hain