us sang-e-astan pe jabin-e-niyaz hai wo apni ja-namaz hai aur ye namaz hai na-saz hai jo hum se usi se ye saz hai kya khub dil hai wah hamein jis pe naz hai pahuncha hai shab kamand laga kar wahan raqib sach hai haram-zade ki rassi daraaz hai us but pe gar khuda bhi ho aashiq to aae rashk har-chand jaanta hun ki wo pak-baz hai maddah-e-khal-e-ru-e-butan hun mujhe khuda bakhshe to kya ajab ki wo nukta-nawaz hai darta hun khanjar us ka na bah jae ho ke aab mere gale mein nala-e-ahan-gudaz hai darwaza mai-kade ka na kar band mohtasib zalim khuda se dar ki dar-e-tauba baz hai khana-kharabiyan dil-e-bimar-e-gham ki dekh wo hi dawa kharab hai jo khana-saz hai shabnam ki ja-e-gul se tapakti hain shokhiyan gulshan mein kis ki khak-e-shahidan-e-naz hai aah o fughan na kar jo khule 'zauq' dil ka haal har nala ek kalid-e-dar-e-ganj-e-raaz hai