reaya zulm pe jab sar uthane lagti hai to eqtidar ki lau thartharane lagti hai hamesha hota hun koshish mein bhul jaane ki wo yaad aur bhi shiddat se aane lagti hai haqir karti hai yun bhi kabhi kabhi duniya mere zamir ki qimat lagane lagti hai ye raushnai jo phaili hai tere ashkon se ye siskiyon ki sadaen sunane lagti hai ghurub hota hai suraj to mere sine se ye kaisi rone ki aawaz aane lagti hai ye maslahat hai bujhane ka jab irada ho hawa diye ki kamar thapthapane lagti hai mere dariche mere baam muskuraate hain wo jab gali se meri aane jaane lagti hai