pir-e-mughan ko qibla-e-hajat kah gaya main bhi hansi hansi mein badi baat kah gaya tarik raste ka musafir nahin hai wo jo tere gesuon ko siyah raat kah gaya qasid ne us ki baat banai na ho kahin kis be-takallufi se jawabaat kah gaya phulon ne hans ke tal diya waqt par hamein kanta magar bahaar ke haalat kah gaya main, chunki maslahat ke taqaze ajib hain us ki jafa ko gardish-e-afat kah gaya ye lijiye janab ki bazi palat gai jo haarta raha hai wahi mat kah gaya na guftani likhi hai 'muzaffar' ne umr bhar jo kuchh zaban kah na saki hat kah gaya