pit karna to hum se nibhana sajan hum ne pahle hi din tha kaha na sajan tum hi majbur ho hum hi mukhtar hain khair mana sajan ye bhi mana sajan ab jo hone ke qisse sabhi ho chuke tum hamein kho chuke hum tumhein kho chuke aage dil ki na baaton mein aana sajan ki ye dil hai sada ka diwana sajan ye bhi sach hai na kuchh baat ji ki bani suni raaton mein dekha kiye chandni par ye sauda hai hum ko purana sajan aur jine ka apne bahana sajan shahr ke log achchhe hain hamdard hain par hamari suno hum jahan-gard hain dagh-e-dil mat kisi ko dikhana sajan ye zamana nahin wo zamana sajan us ko muddat hui sabr karte hue aaj ku-e-wafa se guzarte hue puchh kar us gada ka thikana sajan apne 'insha' ko bhi dekh aana sajan