poshak na tu pahniyo ai sarw-e-rawan surkh ho jae na partaw se tere kaun-o-makan surkh yan baada-e-ahmar ke chhalakte hain jo saghar ai pir-e-mughan dekh ki hai sari dukan surkh pi baada-e-ahmar to ye kahne laga gul-ru main surkh hun tum surkh zamin surkh zaman surkh kya pan ki surkhi ne kiya qatl kisi ko shiddat se hai kyun aaj teri tegh-e-zaban surkh sine mein dil-e-gham-zada khun ho gaya shayad be-wajh bhi hote hain kahin ashk-e-rawan surkh kya bhadke hai sine mein mere aatish-e-furqat jo aah ke ham-rah nikalta hai dhuan surkh ye qatl-e-khizan par hain jawanan-e-chaman shad har samt gul-o-lala udate hain nishan surkh gar meri shahadat ki bashaarat nahin 'parwin' phir kyun hai khat-e-shauq ke unwan ye nishan surkh