yun tod na muddat ki shanasai idhar aa aa ja meri ruthi hui tanhai idhar aa mujh ko bhi ye lamhon ka safar chat raha hai mil bant ke ro len ai mere bhai idhar aa ai sail-e-rawan-e-abadi zindagi nami main kaun sa paband hun harjai idhar aa is nikhat-o-ranai se khae hain kai zakhm ai tu ki nahin nikhat-o-ranai idhar aa aasab khinche jate hain ab sham o sahar mein hone hi ko hai marka-arai idhar aa sunta hun ki tujh ko bhi zamane se gila hai mujh ko bhi ye duniya nahin ras aai idhar aa main rah-numaon mein nahin man meri baat main bhi hun isi dasht ka saudai idhar aa